Wednesday, December 3, 2008

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain - Ahmad Faraz

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut'ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain


By - Ahmad Faraz

woh gumaan gumaan sa qayas sa - Parveen Shakir

woh gumaan gumaan sa qayas sa
kabhi door sa kabhi paas sa
kabhi chandni main chupa hua
kabi khushbuoon main basa hua

kabhi sirf us ki shabahatain
kabhi sirf us ki hikayatain
kabhi sirf milnay k silsilay
kabhi sirf us say hin faaslay

kabhi door chalti hawaoon main
kabhi meenh barasti ghataoon main
kabhi bad-gumaan kabhi meherbaan
kabhi dhoop hai kabhi saayebaan

kabhi band dil ki kitaab main
kabhi lab kushaan woh khwab main
kabhi youn k jaisay sawal ho
kabhi youn k jaisay khayal ho

kabhi dekhnay k hain silsilay
kabhi sochnay k hain marhalay
kabhi sirf rang-e-bahar sa
kabhi sirf ik ghubaar sa

kabhi dastaras k qareeb qareeb
kabhi door paas kahin nahi
yeh jo ukhrra ukhrra sa shakhs hai
yeh jo bikhra bikhra sa shakhs hai...


By - Parveen Shakir

Yeh bhi adab hamaray hai tumhain kiya maloom

Yeh bhi adab hamaray hai tumhain kiya maloom
Hum tumhain jeet kar haray hai tumhain kiya maloom
Aik tum ho k samajtay hi nahi hum ko
Aik hum hai k tumharay hain tumhain kiya maloom

gair ko dard sunanay ki zarorat kiya hai

gair ko dard sunanay ki zarorat kiya hai

Apnay jhagray main zamanay ki zarorat kiya hai

Tum mita sakat nahi mera naam dil se kabhi

Phir kitaboo se mitanay ki zarorat kiya hai

Jab dil se dil mil na pain tu ankh bacha kar chal do

Basabab haath hilanay ki zarorat kiya hai

Teri ulfat nay to diwana bana rakha hai

Teri ulfat nay to diwana bana rakha hai,
Aur logo nay bhi afsana bana rakha hai,

Aandhiyaan taiz chalein bujh na sakay ga phir bhi,
Khoon e dil say jo diya hum nay jala rakha hai

Unse khud unki jafaon ka gila kesy karein,
Hum ne aanhon ko bhi seene main daba rakha hai

Woh joh kaatil hai situmgar hai mohabbat ka meri,
Hum ne unwaan e gazal usko bana rakha hai

Ban ke anjaan sar e bazm woh mujh se bolay,
Ishq main kis ke bura haal bana rakha hai

Koun kehta hai tujhko bhool gaya hai dil,
Teri yaad ko to humne emaan bana rakha hai

udaas kaagazii mausam mein rang-o-buu rakh de

udaas kaagazii mausam mein rang-o-buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de


zabaan-e-gul se chattaanein taraashane vaale
sukuut-e-naqsh mein aaraa_ish-e-namuu rakh de

giraan lage hai jo ehasaan dast-e-qaatil kaa
uth aur teg ke lab pe rag-e-guluu rakh de


chalaa hai jaanib-e-maikhaanaa aaj phir vaa_iz
kahiin na jaam pe lab apane be-vazuu rakh de


Khudaa kare mera munsif sazaa sunaane mein
meraa hi sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de

samandaron ne bulaayaa hai tujh ko ai 'Bekal'
tuu apani pyaas ki sahraa mein aabaruu rakh de

MUSLIM NE TAMEER KIA APNA HARAM OR - ALLAMA IQBAL

MUSLIM NE TAMEER KIA APNA HARAM OR
TEHZEEB KE AZAR NE TARASHWAE SANAUM OR

IN TAZA KHUDAUN MEIN BARRA SAB SE WATAN HAY
JO PERHAN IS KA HAY WO MAZHAB KA KAFAN HAY

YEH BU'T KE TARASHEEDA'E TEHZEEB'E NAV'EE HAY
GHARAT GARE KASHANA'E DEEN'E NABAVI(PBUH) HAY

BAZOO TERA TOHID KI QOOAT SE QAVI HAY
islam TERA DES HAY TU mustafavi HAY

NAZARA'E DEREENA ZAMANE KO DIKHA DE!!!!
AE MUSTAFAVI KHAK MEIN IS BU'T KO MILA DE!!!

HO QA'DE MUQAMI TO NATEEJA HAY TABAHI
REH BEHAR MEIN AZAD'E WATAN SOORAT'E MAHI

HAY TARKE WATAN SUNNAT'E MAHBOOB'E ILAHI(PBUH)
DE TU BHI NABUWAT KI SADAQAT PE GAVAHI

GUFTAR'E SIASAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY
IRSHAD'E NABUWAT MEIN WATAN OR HI KUCH HAY

AQWAME JAHAN MEIN HAY RAQABAT TO ISI SE
TASKHEER HAY MAQSOODE TIJARAT TO ISI SE

KHALI HAY SADAQAT SE SIASAT TO ISI SE
KAMZOR KA GHAR HOTA HAY GHARAT TO ISIS SE

IQWAM MEIN MAKHLOOQ'E KHUDA BAT'TI HAY IS SE
qomee'at'e islam KI JAR KAT'TI HAY IS SE


By - DR. ALLAMA IQBAL